Thee nai shanasai
muskurati raton say
Restoran roshan tha
jhilmilati baton say
main nay gurm coffee li
surd mohr hathon say
Doston ki mehfil thee
zikr tha mohabat ka
karzar e husti main
aadmi ki wuqat ka
zulm ka , siyasat ka
Aatasheen daleelon ki
nurm gurm hiddat main
nukta e nazar kay rung
or khiltay jaatay thay
Dufatun miray dil ko
kul ki fikr nay ghaira
rukhsati takaluf kay
baad main nikal aaya
Church ki faseelain theen
raat kay basaray main
Cambridge ki gulyan theen
mulgajay andharay main
Patharon kay rustay thay
sunglakh deewarain
jaisay in main nadeeda
unkahay fasanay hon
jo abhi nahin guzray
aisay bhi zamanay hon
Jaisay saanse laiti ho
husrat aik khwabeeda
khwabgah e dil main jo
bayshumar jagi ho
Khwab aik bachay ka
kash main huwa hota
ilm ki zia hota
sunglakh deewarain
patharon kay rustay sub
bam o dur, faseel e shub
daikhtay hee reh jatay
dufatun achanuk jub
roshni ka fawara
aasman ko choo laita
Phir leher leher kirnain
kum naseeb dunya ki
simt gamzun hoteen
ashia ki wusat main
africa kay jungle main
muflisi ki duldul ki
aalmi haqeeqat main
Ye leher leher kirnain
jhugion ki busti kay
bawaqar logon ko
nung dhadrang bachon ko
choo kay moataber karteen
aagahi say nehlateen
roshni say bhur daiteen
Ilm ki fazeelat ka
khwab daikhnay walon
waqt ka tasalsul ik
taisha e musalsal hay
pash pash hona hain
sunglakh deewarain
ilm khwab gur hay or
khwab istaara hay
anewali dunya main
busnay walay munzer ka
Shariq Ali
28/04/13